khoi manzil kahan pata hi nahin
khoī manzil kahāñ pata hī nahīñ
aañkh se aage kuchh dikhā hī nahīñ
kone meñ hī khaḌī rahīñ ḳhushiyāñ
maiñ magar biich se haTā hī nahīñ
vo adālat meñ le gayā āvāz
jab se lauTā hai boltā hī nahīñ
dard kī dhuup tez thī phir bhī
merā saayā mujhe dikhā hī nahīñ
aks ko dekhte hī TuuT gayā
aa.ina us kā ab rahā hī nahīñ
muḌ ke dekhā thā tum ne raah meñ bas
ik qadam bhī maiñ phir chalā hī nahīñ
mujh ko to marnā hī thā vaise bhī
zindagī terī kuchh ḳhatā hī nahīñ
kis zabāñ meñ hayāt ne likkhā
she'r mujh par kabhī khulā hī nahīñ
khoi manzil kahan pata hi nahin
aankh se aage kuchh dikha hi nahin
kone mein hi khaDi rahin KHushiyan
main magar bich se haTa hi nahin
wo adalat mein le gaya aawaz
jab se lauTa hai bolta hi nahin
dard ki dhup tez thi phir bhi
mera saya mujhe dikha hi nahin
aks ko dekhte hi TuT gaya
aaina us ka ab raha hi nahin
muD ke dekha tha tum ne rah mein bas
ek qadam bhi main phir chala hi nahin
mujh ko to marna hi tha waise bhi
zindagi teri kuchh KHata hi nahin
kis zaban mein hayat ne likkha
she'r mujh par kabhi khula hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.