khoj ki aur nishan se kud gaya
khoj kī aur nishāñ se kuud gayā
maiñ kahāñ thā kahāñ se kuud gayā
haañ ye raftār kī na.ī had hai
haañ yaqīñ is gumāñ se kuud gayā
chalte chalte pahuñch gayā thā yahāñ
rukte rukte yahāñ se kuud gayā
āsmānoñ pe rahne vaalā bhī
ek din āsmāñ se kuud gayā
'aql thī 'ishq thā junūñ thā jo
mujh se pahle vahāñ se kuud gayā
apnī gahrā.ī nāpnī thī mujhe
so maiñ koh-e-zamāñ se kuud gayā
khoj ki aur nishan se kud gaya
main kahan tha kahan se kud gaya
han ye raftar ki nai had hai
han yaqin is guman se kud gaya
chalte chalte pahunch gaya tha yahan
rukte rukte yahan se kud gaya
aasmanon pe rahne wala bhi
ek din aasman se kud gaya
'aql thi 'ishq tha junun tha jo
mujh se pahle wahan se kud gaya
apni gahrai napni thi mujhe
so main koh-e-zaman se kud gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.