khol aaghosh na tu mujhse rukawaT se lipaT
khol aaghosh na tu mujhse rukawaT se lipaT
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
khol āġhosh na tū mujh se rukāvaT se lipaT
ab jo lipTā hai to aa pyaar kī karvaT se lipaT
us ne sar apnā dhunā dekh shigāf-e-dar se
kar ke ġhash rah ga.e ham us kī jo chaukhaT se lipaT
dhuum ye bāda-kashoñ kī hai ki mai-ḳhāne meñ
mast jaate haiñ surāhī kī ġhaTā-ġhat se lipaT
joñ galī meñ mujhe aate hue dekhā to vo shoḳh
apnī chaukhaT se uchak jhaT se gayā paT se lipaT
shaiḳh se iid ko kyuuñ aap ham-āġhosh hue
goyā jaatā hai bhalā aise bhī khōsaT se lipaT
jis ko kahte haiñ tarāqī kī phaban so zālim
rah ga.ī hai tirī cholī kī phañsāvat se lipaT
piis Daal aaj tū mere bhī phaphūle dil ke
aa na aa mujh se Tuk aisī hī sajāvaT se lipaT
dham se ham dono gire farsh pe haiñ ruup ki raat
rah gayā un kā dupaTTa bhī chhapar-khaT se lipaT
choT khā kar lagī kahne ki agar aisā hai
hai galā khelnā tujh ko to kisī naT se lipaT
ra.ad ke saath hai 'inshā' mire naale kā vo ruup
jaise guTh jaatī haiñ sum duun meñ tirvaT se lipaT
khol aaghosh na tu mujh se rukawaT se lipaT
ab jo lipTa hai to aa pyar ki karwaT se lipaT
us ne sar apna dhuna dekh shigaf-e-dar se
kar ke ghash rah gae hum us ki jo chaukhaT se lipaT
dhum ye baada-kashon ki hai ki mai-KHane mein
mast jate hain surahi ki ghaTa-ghat se lipaT
jon gali mein mujhe aate hue dekha to wo shoKH
apni chaukhaT se uchak jhaT se gaya paT se lipaT
shaiKH se id ko kyun aap ham-aghosh hue
goya jata hai bhala aise bhi khoosaT se lipaT
jis ko kahte hain taraqi ki phaban so zalim
rah gai hai teri choli ki phansawat se lipaT
pis Dal aaj tu mere bhi phaphule dil ke
aa na aa mujh se Tuk aisi hi sajawaT se lipaT
dham se hum dono gire farsh pe hain rup ki raat
rah gaya un ka dupaTTa bhi chhapar-khaT se lipaT
choT kha kar lagi kahne ki agar aisa hai
hai gala khelna tujh ko to kisi naT se lipaT
rad ke sath hai 'insha' mere nale ka wo rup
jaise guTh jati hain sum dun mein tirwaT se lipaT
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.