khol kar aankh dekhna hai hamein
khol kar aañkh dekhnā hai hameñ
jabki sūraj kā sāmnā hai hameñ
baat Takrā.e jā ke us dil tak
itnī shiddat se sochnā hai hameñ
thaam kar ishq ke bagūle ko
dā.era-vār ghūmnā hai hameñ
kuchh to luknat-bharī zabāñ apnī
aur phir jhuuT bolnā hai hameñ
ret kī boriyāñ haiñ aur 'ātir'
chaḌhte dariyā ko roknā hai hameñ
khol kar aankh dekhna hai hamein
jabki suraj ka samna hai hamein
baat Takrae ja ke us dil tak
itni shiddat se sochna hai hamein
tham kar ishq ke bagule ko
daera-war ghumna hai hamein
kuchh to luknat-bhari zaban apni
aur phir jhuT bolna hai hamein
ret ki boriyan hain aur 'atir'
chaDhte dariya ko rokna hai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.