khol kar baat ka bharam donon
khol kar baat kā bharam donoñ
kam-suḳhan ho ga.e haiñ ham donoñ
ho ga.e ab judā to kyā kahiye
the ḳhatā-kār besh-o-kam donoñ
jab mileñge to bhuul jā.eñge
jo abhī sochte haiñ ham donoñ
daf.atan sāmnā huā apnā
jī uThe jaise ek dam donoñ
hijrat-o-hijr se bachā.e ḳhudā
mujh ko lāhaq haiñ aaj ġham donoñ
ab yahī ek raah bachtī hai
bas yahīñ rok leñ qadam donoñ
mujh pe guzrā hai vaqt-e-hijr-o-visāl
dil ne dekhe haiñ zer-o-bam donoñ
jab nimaT jā.eñge ye hañgāme
phir se ho jā.eñge baham donoñ
khol kar baat ka bharam donon
kam-suKHan ho gae hain hum donon
ho gae ab juda to kya kahiye
the KHata-kar besh-o-kam donon
jab milenge to bhul jaenge
jo abhi sochte hain hum donon
dafatan samna hua apna
ji uThe jaise ek dam donon
hijrat-o-hijr se bachae KHuda
mujh ko lahaq hain aaj gham donon
ab yahi ek rah bachti hai
bas yahin rok len qadam donon
mujh pe guzra hai waqt-e-hijr-o-visal
dil ne dekhe hain zer-o-bam donon
jab nimaT jaenge ye hangame
phir se ho jaenge baham donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.