khol rahe hain mund rahe hain yaadon ke darwaze log
khol rahe hain mund rahe hain yaadon ke darwaze log
Aziz Bano Darab Wafa
MORE BYAziz Bano Darab Wafa
khol rahe haiñ muuñd rahe haiñ yādoñ ke darvāze log
ik lamhe meñ kho baiThe haiñ sadiyoñ ke andāze log
niiñd uchaT jaane se sab par jhuñjhlāhaT sī taarī hai
āñkheñ mīche bāñdh rahe haiñ ḳhvāboñ ke shīrāze log
shahroñ shahroñ phirte haiñ dīvānoñ kā bahrūp bhare
ḳhud se chhup kar ḳhud ko DhūñD rahe haiñ baaze baaze log
chaltī phirtī lāshoñ ke hoñToñ kī hañsī par hairat kiyā
murdoñ par rakkhā karte haiñ phuul hamesha taaze log
khol rahe hain mund rahe hain yaadon ke darwaze log
ek lamhe mein kho baiThe hain sadiyon ke andaze log
nind uchaT jaane se sab par jhunjhlahaT si tari hai
aankhen miche bandh rahe hain KHwabon ke shiraaze log
shahron shahron phirte hain diwanon ka bahrup bhare
KHud se chhup kar KHud ko DhunD rahe hain baze baze log
chalti phirti lashon ke honTon ki hansi par hairat kiya
murdon par rakkha karte hain phul hamesha taze log
- Book : Goonj (Pg. 121)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.