khola aKHbar ka jo darwaza
kholā aḳhbār kā jo darvāza
lag gayā ḳhuun haath par taaza
āhaTeñ DhūñDhtī haiñ qadmoñ ko
dastakeñ DhūñDhtī haiñ darvāza
ḳhat meñ likkhī huī thī kuchh bāteñ
kuchh kā ham ne lagāyā andāza
saañs manzil se qabl phuul gayā
tez chalne kā hai ye ḳhamyāza
khola aKHbar ka jo darwaza
lag gaya KHun hath par taza
aahaTen DhunDhti hain qadmon ko
dastaken DhunDhti hain darwaza
KHat mein likkhi hui thi kuchh baaten
kuchh ka hum ne lagaya andaza
sans manzil se qabl phul gaya
tez chalne ka hai ye KHamyaza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.