kholega raaz kaun teri kaenat ke
kholegā raaz kaun tirī kā.enāt ke
laale paḌe hue haiñ yahāñ apnī zaat ke
yuuñ ruuī se ḳhayāl ko rakhtā huuñ kaat ke
uḌte phireñ ro.eñ na kahīñ merī baat ke
sab muntazir haiñ aisī kisī apnī maat ke
khul jaa.eñ sab bharam kisī rāh-e-najāt ke
suntā huuñ mujh se māñgtī hai maut bhī panāh
vo parḳhachche uḌaa.e haiñ maiñ ne hayāt ke
ḳhud ko sameTne ke bakheḌe meñ kyuuñ paḌe
kaahe ko ho ke rah na ga.e hādsāt ke
in āñdhiyoñ pe zor chaman kā to kuchh na thā
qisse bikhar ga.e haiñ magar paat paat ke
kam ye bhī to ḳhalāoñ meñ taḳhlīq se nahīñ
jaise mahal kiye haiñ khaḌe mushkilāt ke
is se ziyāda ret ke tūfān tujh meñ haiñ
jharne tirī nigāh meñ jitne haiñ zaat ke
nauha-kunāñ azal se andheroñ meñ haiñ sadā.eñ
ye dukh to haiñ sadāoñ kī bas ek raat ke
Takrāo be-sabab jo nazar aur dil kā thā
afsāne sab ne ghaḌ liye ek raat ke
sach sach batā ki 'talḳh' ye dil kī navā meñ yuuñ
kaise kiye haiñ jam' ye dukh kā.enāt ke
kholega raaz kaun teri kaenat ke
lale paDe hue hain yahan apni zat ke
yun rui se KHayal ko rakhta hun kat ke
uDte phiren roen na kahin meri baat ke
sab muntazir hain aisi kisi apni mat ke
khul jaen sab bharam kisi rah-e-najat ke
sunta hun mujh se mangti hai maut bhi panah
wo parKHachche uDae hain main ne hayat ke
KHud ko sameTne ke bakheDe mein kyun paDe
kahe ko ho ke rah na gae hadsat ke
in aandhiyon pe zor chaman ka to kuchh na tha
qisse bikhar gae hain magar pat pat ke
kam ye bhi to KHalaon mein taKHliq se nahin
jaise mahal kiye hain khaDe mushkilat ke
is se ziyaada ret ke tufan tujh mein hain
jharne teri nigah mein jitne hain zat ke
nauha-kunan azal se andheron mein hain sadaen
ye dukh to hain sadaon ki bas ek raat ke
Takrao be-sabab jo nazar aur dil ka tha
afsane sab ne ghaD liye ek raat ke
sach sach bata ki 'talKH' ye dil ki nawa mein yun
kaise kiye hain jam' ye dukh kaenat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.