khone ki baat aur na pane ki baat hai
khone kī baat aur na paane kī baat hai
bas zindagī kā saath nibhāne kī baat hai
nafrat kī āñdhiyoñ se na hal hogā mas.ala
jo aag lag chukī hai bujhāne kī baat hai
us kā haqīqatoñ se nahīñ koī vāsta
sach baat ab to sirf fasāne kī baat
tum muskurā bhī sakte nahīñ kyā mire liye
ye to kisī ke kaam na aane kī baat hai
ham ne ḳhayāl meñ bhī na rakkhī kabhī 'ra.īs'
vo baat jo kisī ko satāne kī baat hai
khone ki baat aur na pane ki baat hai
bas zindagi ka sath nibhane ki baat hai
nafrat ki aandhiyon se na hal hoga masala
jo aag lag chuki hai bujhane ki baat hai
us ka haqiqaton se nahin koi wasta
sach baat ab to sirf fasane ki baat
tum muskura bhi sakte nahin kya mere liye
ye to kisi ke kaam na aane ki baat hai
hum ne KHayal mein bhi na rakkhi kabhi 'rais'
wo baat jo kisi ko satane ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.