khoTon ko bhi khara batana paDta hai
khoToñ ko bhī kharā batānā paḌtā hai
duniyā kā dastūr nibhānā paḌtā hai
asar vaqt kā chehre pe dikhlāne ko
aa.ine ko aage aanā paḌtā hai
apnī āñkheñ mareñ na bhūkī is ḳhātir
kuchh chehroñ ko roz kamānā paḌtā hai
jism-nagar ke paar jo kachchī bastī hai
is ke aage merā Thikānā paḌtā hai
maiñ merā maiñ ne mujh se ki changul se
ḳhud ko aksar khīñch ke laanā paḌtā hai
ik chehre ko chhūne kī ḳhātir 'fānī'
yādoñ kā ambār lagānā paḌtā hai
khoTon ko bhi khara batana paDta hai
duniya ka dastur nibhana paDta hai
asar waqt ka chehre pe dikhlane ko
aaine ko aage aana paDta hai
apni aankhen maren na bhuki is KHatir
kuchh chehron ko roz kamana paDta hai
jism-nagar ke par jo kachchi basti hai
is ke aage mera Thikana paDta hai
main mera main ne mujh se ki changul se
KHud ko aksar khinch ke lana paDta hai
ek chehre ko chhune ki KHatir 'fani'
yaadon ka ambar lagana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.