khoyā huā dimāġh hai vahshat hai aur tū
duniyā ke chand log haiñ zulmat hai aur tū
ujḌe hue dayār meñ ḳhvāboñ kī raakh par
be-rahm sī umiid kī zīnat hai aur tū
mujh ko shab-e-firāq meñ achchhā hī lag rahā
nashsha hai marg-e-yās kā rāhat hai aur tū
dariyā kī pyaas pyaas thī sāġhar se bujh ga.ī
lekin hamārī pyaas meñ kulfat hai aur tū
shauq-e-visāl dekh ke nikle haiñ jism se
jaanā nahīñ udhar ke jidhar chhat hai aur tū
khoya hua dimagh hai wahshat hai aur tu
duniya ke chand log hain zulmat hai aur tu
ujDe hue dayar mein KHwabon ki rakh par
be-rahm si umid ki zinat hai aur tu
mujh ko shab-e-firaq mein achchha hi lag raha
nashsha hai marg-e-yas ka rahat hai aur tu
dariya ki pyas pyas thi saghar se bujh gai
lekin hamari pyas mein kulfat hai aur tu
shauq-e-visal dekh ke nikle hain jism se
jaana nahin udhar ke jidhar chhat hai aur tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.