khoya hua tha hasil hone wala hun
khoyā huā thā hāsil hone vaalā huuñ
maiñ kāġhaz par nāzil hone vaalā huuñ
chhoḌ aayā huuñ pīchhe sab āvāzoñ ko
ḳhāmoshī meñ dāḳhil hone vaalā huuñ
ḳhud hī apnā rasta dekh rahā huuñ maiñ
ḳhud hī apnī manzil hone vaalā huuñ
mujh ko sharīk-e-mahfil bhī kab samjheñ vo
maiñ jo jān-e-mahfil hone vaalā huuñ
jaane kyā kah jā.egā Dar lagtā hai
ā.īñe ke muqābil hone vaalā huuñ
ruuh sulagtī aur pighaltī jaatī hai
ek badan meñ shāmil hone vaalā huuñ
āḳhir kab tak apne naaz uThā.ūñ 'shāz'
aaj apnā hī qātil hone vaalā huuñ
khoya hua tha hasil hone wala hun
main kaghaz par nazil hone wala hun
chhoD aaya hun pichhe sab aawazon ko
KHamoshi mein daKHil hone wala hun
KHud hi apna rasta dekh raha hun main
KHud hi apni manzil hone wala hun
mujh ko sharik-e-mahfil bhi kab samjhen wo
main jo jaan-e-mahfil hone wala hun
jaane kya kah jaega Dar lagta hai
aaine ke muqabil hone wala hun
ruh sulagti aur pighalti jati hai
ek badan mein shamil hone wala hun
aaKHir kab tak apne naz uThaun 'shaz'
aaj apna hi qatil hone wala hun
- Book : khamoshi ki khidkii se (Pg. 37)
- Author : zakria shaz
- Publication : zaryun matbuaat 7-second falore taaj center paress market faislabaad (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.