khoya khoya udas sa hoga
khoyā khoyā udaas sā hogā
tum se vo shaḳhs jab milā hogā
qurb kā zikr jab chalā hogā
darmiyāñ koī fāsla hogā
ruuh se ruuh ho chukī bad-zan
jism se jism kab judā hogā
phir bulāyā hai us ne ḳhat likh kar
sāmne koī mas.ala hogā
har himāqat pe sochte the ham
aql kā aur marhala hogā
ghar meñ sab log so rahe hoñge
phuul āñgan meñ jal chukā hogā
kal kī bāteñ karoge jab logo
ḳhauf sā dil meñ rūnumā hogā
khoya khoya udas sa hoga
tum se wo shaKHs jab mila hoga
qurb ka zikr jab chala hoga
darmiyan koi fasla hoga
ruh se ruh ho chuki bad-zan
jism se jism kab juda hoga
phir bulaya hai us ne KHat likh kar
samne koi masala hoga
har himaqat pe sochte the hum
aql ka aur marhala hoga
ghar mein sab log so rahe honge
phul aangan mein jal chuka hoga
kal ki baaten karoge jab logo
KHauf sa dil mein runuma hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.