khoya kya paya kya hisab na kar
khoyā kyā paayā kyā hisāb na kar
to abas vaqt ko ḳharāb na kar
chhoḌ hargiz na rāh-e-haq-goī
apnī manzil ko yuuñ ḳharāb na kar
saaf rakh apnā dāman-e-kirdār
tū use ashkoñ se pur-āb na kar
ġham na kar dūsroñ pe kyā guzre
tū kabhī haq se ijtināb na kar
ġham bhī haiñ zindagī kā ik hissa
dūsroñ ko tū intisāb na kar
jo farā.ez haiñ bhuul jaa.eñ 'karan'
is qadar ḳhud ko mahv-e-ḳhvāb na kar
khoya kya paya kya hisab na kar
to abas waqt ko KHarab na kar
chhoD hargiz na rah-e-haq-goi
apni manzil ko yun KHarab na kar
saf rakh apna daman-e-kirdar
tu use ashkon se pur-ab na kar
gham na kar dusron pe kya guzre
tu kabhi haq se ijtinab na kar
gham bhi hain zindagi ka ek hissa
dusron ko tu intisab na kar
jo faraez hain bhul jaen 'karan'
is qadar KHud ko mahw-e-KHwab na kar
- Book : Shehr-e-Sukhan (Pg. 19)
- Author : Karan Singh Karan
- Publication : Manvi Parkashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.