KHud-agahi ka ajab rog lag gaya hai mujhe
ḳhud-āgahī kā ajab rog lag gayā hai mujhe
ki apnī zaat pe dhoka tirā huā hai mujhe
pukārtī hai havāoñ kī naġhmagī tujh ko
sukūt jhiil kā āvāz de rahā hai mujhe
ajiib zauq-e-mohabbat atā kiyā tū ne
vajūd-e-sang bhī tahzīb-e-ā.īna hai mujhe
maiñ apne naam se nā-āshnā sahī lekin
tumhāre naam se har shaḳhs jāntā hai mujhe
maiñ apne ghar ke diye bhī bhulā.e baiThā huuñ
tire ḳhayāl ne ye hausla diyā hai mujhe
kahāñ ye fursat-e-kāvish ki tujh ko yaad karūñ
shu.ūr-e-zāt kā darpesh marhala hai mujhe
'ra.īs' sher kī duniyā se kyā ġharaz mujh ko
kisī kī yaad ne shā.ir banā diyā hai mujhe
KHud-agahi ka ajab rog lag gaya hai mujhe
ki apni zat pe dhoka tera hua hai mujhe
pukarti hai hawaon ki naghmagi tujh ko
sukut jhil ka aawaz de raha hai mujhe
ajib zauq-e-mohabbat ata kiya tu ne
wajud-e-sang bhi tahzib-e-aina hai mujhe
main apne nam se na-ashna sahi lekin
tumhaare nam se har shaKHs jaanta hai mujhe
main apne ghar ke diye bhi bhulae baiTha hun
tere KHayal ne ye hausla diya hai mujhe
kahan ye fursat-e-kawish ki tujh ko yaad karun
shuur-e-zat ka darpesh marhala hai mujhe
'rais' sher ki duniya se kya gharaz mujh ko
kisi ki yaad ne shair bana diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.