KHud-agahi ne lahu mein Dubo diya mujhko
ḳhud-āgahī ne lahū meñ Dubo diyā mujh ko
shu.ūr-e-zāt kī aisī milī sazā mujh ko
misāl-e-gauhar-e-nāyāb zer-e-āb rahā
ye aarzū thī samundar uchhāltā mujh ko
maiñ TimTimātā huā tīrgī se laḌtā rahā
talāsh kartī rahī sar-phirī havā mujh ko
vo be-shumār dafīne na yuuñ paḌe rahte
agar zamāna salīqe se khodtā mujh ko
milā kisī ko sukūt-e-davām o be-ḳhabarī
lahū meñ Duubā huā ye qalam milā mujh ko
jabīñ pe kyā kiyā tahrīr ḳhāma-e-haq ne
ki āgahī bhī samajhtī hai sar-phirā mujh ko
maiñ hārtā hī gayā zindagī kī har baazī
shikast detī rahī umr bhar anā mujh ko
chaTaḳh rahā hai badan aur dhuāñ dhuāñ hai dil
kisī ne dī hai sulagne kī badduā mujh ko
qusūr merā yahī thā ki be-qusūr thā maiñ
amīr-e-shahr ne phir bhī jalā diyā mujh ko
yahāñ vahāñ sar-e-bāzār ḳhuuñ bahā merā
ajiib hai ki chukānā hai ḳhūñ-bahā mujh ko
agar maiñ dard se chīḳhūñ to hai adākārī
dikhā.ūñ zaḳhm to kahte haiñ ḳhud-numā mujh ko
maiñ apne haath meñ apnā burīda sar le kar
chalā to rok rahī thī koī sadā mujh ko
kabhī charāġh jalā.ūñ to kaañp jaatā huuñ
har ek aag se lagtā hai ḳhauf sā mujh ko
ba-fazl-e-ābla-pā.ī ba-faiz-e-tishna-labī
sarāb DhūñDh rahā hai barahna-pā mujh ko
abhī mahal ke dar-o-bām nā-mukammal haiñ
ye kis ne ḳhvāb se aa kar jagā diyā mujh ko
har inkishāf pe hairat-zada khaḌā rahtā
agar vo baiTh ke fursat meñ sochtā mujh ko
na jaane kab se hai us paar dekhne kī havas
fasīl-e-zāt se uupar zarā uThā mujh ko
KHud-agahi ne lahu mein Dubo diya mujh ko
shuur-e-zat ki aisi mili saza mujh ko
misal-e-gauhar-e-nayab zer-e-ab raha
ye aarzu thi samundar uchhaalta mujh ko
main TimTimata hua tirgi se laDta raha
talash karti rahi sar-phiri hawa mujh ko
wo be-shumar dafine na yun paDe rahte
agar zamana saliqe se khodta mujh ko
mila kisi ko sukut-e-dawam o be-KHabari
lahu mein Duba hua ye qalam mila mujh ko
jabin pe kya kiya tahrir KHama-e-haq ne
ki aagahi bhi samajhti hai sar-phira mujh ko
main haarta hi gaya zindagi ki har bazi
shikast deti rahi umr bhar ana mujh ko
chaTaKH raha hai badan aur dhuan dhuan hai dil
kisi ne di hai sulagne ki baddua mujh ko
qusur mera yahi tha ki be-qusur tha main
amir-e-shahr ne phir bhi jala diya mujh ko
yahan wahan sar-e-bazar KHun baha mera
ajib hai ki chukana hai KHun-baha mujh ko
agar main dard se chiKHun to hai adakari
dikhaun zaKHm to kahte hain KHud-numa mujh ko
main apne hath mein apna burida sar le kar
chala to rok rahi thi koi sada mujh ko
kabhi charagh jalaun to kanp jata hun
har ek aag se lagta hai KHauf sa mujh ko
ba-fazl-e-abla-pai ba-faiz-e-tishna-labi
sarab DhunDh raha hai barahna-pa mujh ko
abhi mahal ke dar-o-baam na-mukammal hain
ye kis ne KHwab se aa kar jaga diya mujh ko
har inkishaf pe hairat-zada khaDa rahta
agar wo baiTh ke fursat mein sochta mujh ko
na jaane kab se hai us par dekhne ki hawas
fasil-e-zat se upar zara uTha mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.