KHud agar aag lagai hai bujhata kyon hai
ḳhud agar aag lagā.ī hai bujhātā kyoñ hai
tujh pe manzar ye girāñ hai to jalātā kyoñ hai
tujh ko ye ḳhauf kisī aur kā ho jā.ūñgā
tū agar mujh pe fidā hai to chhupātā kyoñ hai
gar ye sach hai ki tū ab bhuul gayā hai mujh ko
aadhī rātoñ ko diye dar pe jalātā kyoñ hai
sach to ye hai ki tujhe pyaar bahut hai mujh se
phir zamāne kī tarah aañkh churātā kyoñ hai
terā sūraj ke qabīle se ta'alluq hogā
varna yuuñ muft koī ḳhud ko luTātā kyoñ hai
KHud agar aag lagai hai bujhata kyon hai
tujh pe manzar ye giran hai to jalata kyon hai
tujh ko ye KHauf kisi aur ka ho jaunga
tu agar mujh pe fida hai to chhupata kyon hai
gar ye sach hai ki tu ab bhul gaya hai mujh ko
aadhi raaton ko diye dar pe jalata kyon hai
sach to ye hai ki tujhe pyar bahut hai mujh se
phir zamane ki tarah aankh churaata kyon hai
tera suraj ke qabile se ta'alluq hoga
warna yun muft koi KHud ko luTata kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.