KHud apna bojh uThao yahan se kuch karo
ḳhud apnā bojh uThāo yahāñ se kuuch karo
zamīñ pe paañv dharo āsmāñ se kuuch karo
faqat udāsī mirā dukh batā nahīñ paatī
ai mere āñsūo dard-e-nihāñ se kuuch karo
hai us ke aks-e-gurezāñ kī jalva-ārā.ī
ab apne ghar meñ raho āstāñ se kuuch karo
ye kyā ki ek jagah par hī umr guzregī
rahīn-e-jism utāro jahāñ se kuuch karo
chalo ki DhūñD ke laa.eñ kahīñ se jazb-e-adā
uTho ki rah-guzrān-e-butāñ se kuuch karo
KHud apna bojh uThao yahan se kuch karo
zamin pe panw dharo aasman se kuch karo
faqat udasi mera dukh bata nahin pati
ai mere aansuo dard-e-nihan se kuch karo
hai us ke aks-e-gurezan ki jalwa-arai
ab apne ghar mein raho aastan se kuch karo
ye kya ki ek jagah par hi umr guzregi
rahin-e-jism utaro jahan se kuch karo
chalo ki DhunD ke laen kahin se jazb-e-ada
uTho ki rah-guzran-e-butan se kuch karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.