KHud apna intizar bhi
ḳhud apnā intizār bhī
ham apne meñ qarār bhī
sifar kā reg-zār bhī
magar mirā dayār bhī
lahū mirā sukūt bhī
junūñ kā shāhkār bhī
safar meñ marhala banā
davām kā hisār bhī
nazar uThā ke kar diyā
ḳhalā ke dil pe vaar bhī
tarāshī ham ne ruuh jab
uThā thā kuchh ġhubār bhī
guzar chuke haiñ bār-hā
ḳhudā ke ār-pār bhī
'riyāz' māvarā to ho
ki ho tirā shumār bhī
KHud apna intizar bhi
hum apne mein qarar bhi
sifar ka reg-zar bhi
magar mera dayar bhi
lahu mera sukut bhi
junun ka shahkar bhi
safar mein marhala bana
dawam ka hisar bhi
nazar uTha ke kar diya
KHala ke dil pe war bhi
tarashi hum ne ruh jab
uTha tha kuchh ghubar bhi
guzar chuke hain bar-ha
KHuda ke aar-par bhi
'riyaz' mawara to ho
ki ho tera shumar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.