KHud apne aap ki nazron mein gir gaya hai koi
KHud apne aap ki nazron mein gir gaya hai koi
Raghunandan Sharma Danish
MORE BYRaghunandan Sharma Danish
ḳhud apne aap kī nazroñ meñ gir gayā hai koī
daraḳht kaaT ke saa.e ko ro rahā hai koī
bahut zamāne se ik Duube shaḳhs kī ḳhātir
tamām raat samundar pe kāTtā hai koī
tumhīñ batāo tumheñ kaise apnā dil de deñ
tumhīñ batāo ki sahrā meñ Dūbtā hai koī
daraḳht chhoḌ ke panchhī kahīñ nahīñ jaate
to kyā daraḳht ke pīchhe paḌā huā hai koī
mirā vajūd bhī taqsīm ho gayā 'dānish'
tumhāre hote hue dil meñ dūsrā hai koī
KHud apne aap ki nazron mein gir gaya hai koi
daraKHt kaT ke sae ko ro raha hai koi
bahut zamane se ek Dube shaKHs ki KHatir
tamam raat samundar pe kaTta hai koi
tumhin batao tumhein kaise apna dil de den
tumhin batao ki sahra mein Dubta hai koi
daraKHt chhoD ke panchhi kahin nahin jate
to kya daraKHt ke pichhe paDa hua hai koi
mera wajud bhi taqsim ho gaya 'danish'
tumhaare hote hue dil mein dusra hai koi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.