KHud apne aapko dhoka diya hai
Interesting Fact
Dedicated to Khurshid Ahmad Jami
ḳhud apne aap ko dhokā diyā hai
hamāre saath ye aksar huā hai
ye mujh se zindagī jo māñgtā hai
na jaane kaun ye mujh meñ chhupā hai
yahī merī shikastoñ kā silā hai
koī mere badan meñ TūTtā hai
kitāb-e-gul kā rangīñ har varaq hai
tumhārā naam kis ne likh diyā hai
salīb-e-vaqt pe tanhā khaḌā huuñ
ye saarā shahr mujh par hans rahā hai
kabhī niiñd aa ga.ī dīvāngī ko
kabhī sahrā bhī thak kar so gayā hai
'shamīm' ik barg-e-āvāra thā 'jāmī'
ḳhalāoñ meñ kahīñ ab kho gayā hai
KHud apne aap ko dhoka diya hai
hamare sath ye aksar hua hai
ye mujh se zindagi jo mangta hai
na jaane kaun ye mujh mein chhupa hai
yahi meri shikaston ka sila hai
koi mere badan mein TuTta hai
kitab-e-gul ka rangin har waraq hai
tumhaara nam kis ne likh diya hai
salib-e-waqt pe tanha khaDa hun
ye sara shahr mujh par hans raha hai
kabhi nind aa gai diwangi ko
kabhi sahra bhi thak kar so gaya hai
'shamim' ek barg-e-awara tha 'jami'
KHalaon mein kahin ab kho gaya hai
- Nama-e-Gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.