KHud apne aap se apna gila nahin karte
KHud apne aap se apna gila nahin karte
Saeed Ahmad Saeed Kadwi
MORE BYSaeed Ahmad Saeed Kadwi
ḳhud apne aap se apnā gila nahīñ karte
ham apnī baat kisī se kahā nahīñ karte
khilaune TuuTe to bāzār se le ā.eñge
jo TuuT jaate haiñ dil vo juḌā nahīñ karte
tumhārī zarra-navāzī hai jo navāz diyā
ham apne muñh miyāñ miTThū banā nahīñ karte
ye aa.ina hai sadāqat bayān kartā hai
ġhalat nuqūsh to is meñ banā nahīñ karte
'sa.īd' ham pe jo guzrī vo dil meñ rakhte haiñ
kabhī kisī se koī tazkira nahīñ karte
KHud apne aap se apna gila nahin karte
hum apni baat kisi se kaha nahin karte
khilaune TuTe to bazar se le aaenge
jo TuT jate hain dil wo juDa nahin karte
tumhaari zarra-nawazi hai jo nawaz diya
hum apne munh miyan miTThu bana nahin karte
ye aaina hai sadaqat bayan karta hai
ghalat nuqush to is mein bana nahin karte
'said' hum pe jo guzri wo dil mein rakhte hain
kabhi kisi se koi tazkira nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.