KHud apne hath se kya kya hua nahin mere sath
ḳhud apne haath se kyā kyā huā nahīñ mire saath
maiñ kyā kahūñ mirā kuchh bhī gila nahīñ mire saath
maiñ us ke saath huuñ be-shak maiñ us ke paas nahīñ
vo mere paas thā lekin vo thā nahīñ mire saath
nikal paḌā huuñ kisī ko mile batā.e baġhair
safar ba-ḳhair koī bhī duā nahīñ mire saath
vo mere dukh meñ marā jā rahā hai hairat hai
jo ek din bhī ḳhushī se jiyā nahīñ mire saath
ḳhudā kī raah meñ niklā huuñ maiñ tan-e-tanhā
ye pahlī baar huā hai ḳhudā nahīñ mire saath
KHud apne hath se kya kya hua nahin mere sath
main kya kahun mera kuchh bhi gila nahin mere sath
main us ke sath hun be-shak main us ke pas nahin
wo mere pas tha lekin wo tha nahin mere sath
nikal paDa hun kisi ko mile batae baghair
safar ba-KHair koi bhi dua nahin mere sath
wo mere dukh mein mara ja raha hai hairat hai
jo ek din bhi KHushi se jiya nahin mere sath
KHuda ki rah mein nikla hun main tan-e-tanha
ye pahli bar hua hai KHuda nahin mere sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.