KHud apne hi hathon ka likha kaT raha hun
ḳhud apne hī hāthoñ kā likhā kaaT rahā huuñ
le dekh le duniyā maiñ patā kaaT rahā huuñ
ye baat mujhe der se ma.alūm huī hai
zindāñ hai ye duniyā maiñ sazā kaaT rahā huuñ
duniyā mire sajde ko ibādat na samajhnā
peshānī pe qismat kā likhā kaaT rahā huuñ
ab aap kī marzī hai ise jo bhī samjhiye
lekin maiñ ishāre se havā kaaT rahā huuñ
tū ne jo sazā dī thī javānī ke dinoñ meñ
maiñ umr kī chaukhaT pe khaḌā kaaT rahā huuñ
KHud apne hi hathon ka likha kaT raha hun
le dekh le duniya main pata kaT raha hun
ye baat mujhe der se malum hui hai
zindan hai ye duniya main saza kaT raha hun
duniya mere sajde ko ibaadat na samajhna
peshani pe qismat ka likha kaT raha hun
ab aap ki marzi hai ise jo bhi samjhiye
lekin main ishaare se hawa kaT raha hun
tu ne jo saza di thi jawani ke dinon mein
main umr ki chaukhaT pe khaDa kaT raha hun
- Book : Shahdaba (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.