KHud apne jazb-e-mohabbat ki intiha hun main
ḳhud apne jazb-e-mohabbat kī intihā huuñ maiñ
tire jamāl kī tasvīr ban gayā huuñ maiñ
hadīs-e-ishq huuñ afsāna-e-vafā huuñ maiñ
bhulā sake na jise tum vo mājrā huuñ maiñ
mirī sarisht hai hañs hañs ke zaḳhm-e-ġham khānā
ki hādsāt meñ pal kar javāñ huā huuñ maiñ
unheñ yaqīñ nahīñ mere ḳhulūs-e-ulfat kā
vafā kā apnī ye in'ām pā rahā huuñ maiñ
hamīd jis ne miTāyā hai baar baar mujhe
usī fareb-e-mohabbat meñ mubtalā huuñ maiñ
KHud apne jazb-e-mohabbat ki intiha hun main
tere jamal ki taswir ban gaya hun main
hadis-e-ishq hun afsana-e-wafa hun main
bhula sake na jise tum wo majra hun main
meri sarisht hai hans hans ke zaKHm-e-gham khana
ki hadsat mein pal kar jawan hua hun main
unhen yaqin nahin mere KHulus-e-ulfat ka
wafa ka apni ye in'am pa raha hun main
hamid jis ne miTaya hai bar bar mujhe
usi fareb-e-mohabbat mein mubtala hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.