KHud apne markaz-o-mehwar se dur haTte hue
ḳhud apne markaz-o-mehvar se duur haTte hue
pahuñch chukā huuñ kahāñ dā.ere badalte hue
bujhe huoñ se bhī miltā hai dars-e-māyūsī
hamārī samt na dekheñ charāġh jalte hue
vo ḳhitta ḳhushk thā tar hote maiñ ne dekhā hai
vo aañkh surḳh huī pairahan badalte hue
maiñ is liye bhī khaḌā thā jhukā ke sar apnā
tū sharmsār na ho baat se mukarte hue
baġhal meñ ḳhushk sabūcha hai aur umr 'razā'
guzar ga.ī hai zamāne kā paanī bharte hue
KHud apne markaz-o-mehwar se dur haTte hue
pahunch chuka hun kahan daere badalte hue
bujhe huon se bhi milta hai dars-e-mayusi
hamari samt na dekhen charagh jalte hue
wo KHitta KHushk tha tar hote main ne dekha hai
wo aankh surKH hui pairahan badalte hue
main is liye bhi khaDa tha jhuka ke sar apna
tu sharmsar na ho baat se mukarte hue
baghal mein KHushk sabucha hai aur umr 'raza'
guzar gai hai zamane ka pani bharte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.