KHud apne sath safar mein rahe to achchha hai
ḳhud apne saath safar meñ rahe to achchhā hai
vo be-ḳhabar hai ḳhabar meñ rahe to achchhā hai
qadam qadam yūñhī rakhnā diloñ meñ andesha
charāġh rāhguzar meñ rahe to achchhā hai
kabhī kabhī mire dāman ke kaam aa.egī
ye dhuup dīda-e-tar meñ rahe to achchhā hai
maiñ dil kā haal na aane duuñ apnī palkoñ tak
ye ghar kī baat hai ghar meñ rahe to achchhā hai
kiyā hai tund havāoñ kā sāmnā jis ne
vo phuul shāḳh-e-shajar meñ rahe to achchhā hai
KHud apne sath safar mein rahe to achchha hai
wo be-KHabar hai KHabar mein rahe to achchha hai
qadam qadam yunhi rakhna dilon mein andesha
charagh rahguzar mein rahe to achchha hai
kabhi kabhi mere daman ke kaam aaegi
ye dhup dida-e-tar mein rahe to achchha hai
main dil ka haal na aane dun apni palkon tak
ye ghar ki baat hai ghar mein rahe to achchha hai
kiya hai tund hawaon ka samna jis ne
wo phul shaKH-e-shajar mein rahe to achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.