KHud apne wajud apni hi hasti mein nahin hun
ḳhud apne vajūd apnī hī hastī meñ nahīñ huuñ
maiñ aap mirī zaat kī miTTī meñ nahīñ huuñ
jo chaak pe rakkhā hai vo miTTī kā badan hai
maiñ rūh-e-abad huuñ kisī chakkī meñ nahīñ huuñ
duniyāvī jhamele se kahīñ duur bahut duur
maiñ huuñ bhī to is jism kī bastī meñ nahīñ huuñ
mat maap darīche se tū is charḳh kī vus.at
duniyā maiñ tirī tang-nigāhī meñ nahīñ huuñ
koī na mujhe harf ke sāñchoñ meñ talāshe
lafzoñ se nadārad huuñ ma.ānī meñ nahīñ huuñ
KHud apne wajud apni hi hasti mein nahin hun
main aap meri zat ki miTTi mein nahin hun
jo chaak pe rakkha hai wo miTTi ka badan hai
main ruh-e-abad hun kisi chakki mein nahin hun
duniyawi jhamele se kahin dur bahut dur
main hun bhi to is jism ki basti mein nahin hun
mat map dariche se tu is charKH ki wusat
duniya main teri tang-nigahi mein nahin hun
koi na mujhe harf ke sanchon mein talashe
lafzon se nadarad hun maani mein nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.