KHud apne zahr ko pina baDa karishma hai
ḳhud apne zahr ko piinā baḌā karishma hai
jo ho ḳhulūs to jiinā baḌā karishma hai
yahāñ to āb-o-sarāb ek hai jidhar jaa.eñ
tumhāre haath hai miinā baḌā karishma hai
tumhārā daur karishmoñ kā daur hai sach hai
tumhāre daur meñ jiinā baḌā karishma hai
jahāñ nasīb ho aish-e-davām be-tag-o-dau
jabīñ pe garm pasīna baḌā karishma hai
ġham-e-ma.āsh kī gardish ḳhud-āgahī kā bharam
is iḳhtilāf meñ jiinā baḌā karishma hai
shumāriyāt bhī 'shāhīn' sher-goī bhī
ye harf harf nagīna baḌā karishma hai
KHud apne zahr ko pina baDa karishma hai
jo ho KHulus to jina baDa karishma hai
yahan to aab-o-sarab ek hai jidhar jaen
tumhaare hath hai mina baDa karishma hai
tumhaara daur karishmon ka daur hai sach hai
tumhaare daur mein jina baDa karishma hai
jahan nasib ho aish-e-dawam be-tag-o-dau
jabin pe garm pasina baDa karishma hai
gham-e-maash ki gardish KHud-agahi ka bharam
is iKHtilaf mein jina baDa karishma hai
shumariyat bhi 'shahin' sher-goi bhi
ye harf harf nagina baDa karishma hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.