KHud apni mahfil mein is qadar kyun hai ehtimam-e-hijab tera
KHud apni mahfil mein is qadar kyun hai ehtimam-e-hijab tera
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
ḳhud apnī mahfil meñ is qadar kyuuñ hai ehtimām-e-hijāb terā
yahāñ to maujūd tū hī tū hai kahāñ hai koī javāb terā
kabhī to sahrā ke dāmanoñ par kabhī chaman kī latāfatoñ par
jalāl ban kar jamāl ban kar baras rahā hai shabāb terā
siyāh bādal umaD umaD kar vo aa rahe haiñ baras rahe haiñ
urūs-e-fitrat nahā rahī hai nikhar rahā hai shabāb terā
KHud apni mahfil mein is qadar kyun hai ehtimam-e-hijab tera
yahan to maujud tu hi tu hai kahan hai koi jawab tera
kabhi to sahra ke damanon par kabhi chaman ki latafaton par
jalal ban kar jamal ban kar baras raha hai shabab tera
siyah baadal umaD umaD kar wo aa rahe hain baras rahe hain
urus-e-fitrat naha rahi hai nikhar raha hai shabab tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.