KHud apni mahfil mein tha paraya
ḳhud apnī mahfil meñ thā parāyā
ki ek maiñ hī thā bin-bulāyā
vo jis kī ḳhātir maiñ jī rahā thā
vo pal bhī āḳhir guzār aayā
ajab thā ye ishtirāk-e-bāham
maiñ ek vahshat vo ek saayā
nigārish-e-jāñ tire liye maiñ
hazār marg-o-hayāt laayā
badan se ab ho rahā huuñ ruḳhsat
adā nahīñ kar sakā kirāya
sarāb niklā tirā ta.āqub
maiñ zindagī ko gañvā hī aayā
KHud apni mahfil mein tha paraya
ki ek main hi tha bin-bulaya
wo jis ki KHatir main ji raha tha
wo pal bhi aaKHir guzar aaya
ajab tha ye ishtirak-e-baham
main ek wahshat wo ek saya
nigarish-e-jaan tere liye main
hazar marg-o-hayat laya
badan se ab ho raha hun ruKHsat
ada nahin kar saka kiraya
sarab nikla tera taaqub
main zindagi ko ganwa hi aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.