KHud apni pyas se tum intiqam mat lena
ḳhud apnī pyaas se tum intiqām mat lenā
kisī bhī shaḳhs ke hāthoñ se jaam mat lenā
yaqīñ na ho to judā ho ke dekh lo ham se
hamārī yaad na aa.e to naam mat lenā
guzār denā ġharībī meñ zindagī lekin
amīr-e-shahr ke dāman ko thaam mat lenā
zamāne bhar ko mohabbat se jiit jāoge
magar kabhī bhī adāvat se kaam mat lenā
mile agar jo kabhī rāstā badal lenā
ġharaz-parast kā hargiz salām mat lenā
ye lat burī hai miyāñ aap apne hāthoñ meñ
kahā hai mere buzurgoñ ne jaam mat lenā
koī kisī kā nahīñ daur-e-bevafā.ī meñ
kisī se apnī mohabbat kā daam mat lenā
KHud apni pyas se tum intiqam mat lena
kisi bhi shaKHs ke hathon se jam mat lena
yaqin na ho to juda ho ke dekh lo hum se
hamari yaad na aae to nam mat lena
guzar dena gharibi mein zindagi lekin
amir-e-shahr ke daman ko tham mat lena
zamane bhar ko mohabbat se jit jaoge
magar kabhi bhi adawat se kaam mat lena
mile agar jo kabhi rasta badal lena
gharaz-parast ka hargiz salam mat lena
ye lat buri hai miyan aap apne hathon mein
kaha hai mere buzurgon ne jam mat lena
koi kisi ka nahin daur-e-bewafai mein
kisi se apni mohabbat ka dam mat lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.