KHud apni zat ka inkar karne wala hai
ḳhud apnī zaat kā inkār karne vaalā hai
koī tamām hadeñ paar karne vaalā hai
abhī na haath baḌhā pagḌiyoñ kī jānib tū
ki ye tamāsha sū-e-dār karne vaalā hai
kabhī kisī ne kiyā hai na kar sakegā koī
jo mere saath mirā yaar karne vaalā hai
mujhe vo mātamī āñkheñ lagā.e jā rahā hai
vo mere ḳhvāb azādār karne vaalā hai
mirā tumhārā ḳhudā ek ho nahīñ saktā
mirā ḳhudā to baḌā pyaar karne vaalā hai
abhī to raat hai sab chain se haiñ so.e hue
magar jo sub.h kā aḳhbār karne vaalā hai
KHud apni zat ka inkar karne wala hai
koi tamam haden par karne wala hai
abhi na hath baDha pagDiyon ki jaanib tu
ki ye tamasha su-e-dar karne wala hai
kabhi kisi ne kiya hai na kar sakega koi
jo mere sath mera yar karne wala hai
mujhe wo matami aankhen lagae ja raha hai
wo mere KHwab azadar karne wala hai
mera tumhaara KHuda ek ho nahin sakta
mera KHuda to baDa pyar karne wala hai
abhi to raat hai sab chain se hain soe hue
magar jo subh ka aKHbar karne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.