KHud apni zat ko mismar karke
ḳhud apnī zaat ko mismār karke
kahāñ jā.ūñ samundar paar karke
khulī jab aañkh kashtī jā chukī thī
milā kyā ḳhvāb se bedār karke
tasallī bhī nahīñ detā hai koī
musībat se mujhe do-chār karke
mujhe jhuknā thā āḳhir jhuk gayā maiñ
girā vo ḳhud mujhī pe vaar karke
bahut da.avā thā tujh se dostī kā
bahut pachhtā rahā huuñ pyaar karke
nahīñ jī pāoge ab tum 'tabassum'
ḳhud apnī zaat ko bedār karke
KHud apni zat ko mismar karke
kahan jaun samundar par karke
khuli jab aankh kashti ja chuki thi
mila kya KHwab se bedar karke
tasalli bhi nahin deta hai koi
musibat se mujhe do-chaar karke
mujhe jhukna tha aaKHir jhuk gaya main
gira wo KHud mujhi pe war karke
bahut dawa tha tujh se dosti ka
bahut pachhta raha hun pyar karke
nahin ji paoge ab tum 'tabassum'
KHud apni zat ko bedar karke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.