KHud-ba-KHud dida-o-dil mein jo samaya jae
ḳhud-ba-ḳhud dīda-o-dil meñ jo samāyā jaa.e
haa.e us shaḳhs ko kis tarah bhulāyā jaa.e
ek ik zarre ko ā.īna banāyā jaa.e
jalva-e-husn-e-nazar un ko dikhāyā jaa.e
baat jab hai ki na guzre dil-e-nāzuk pe girāñ
shauq se hāl-e-shab-e-hijr sunāyā jaa.e
māh-o-anjum haiñ kahīñ aur kahīñ lāla-o-gul
dāman-e-shauq ko kis kis se bachāyā jaa.e
kaisī pābandī-e-zindāñ ki hai fitrat āzād
ḳhūn-e-dil se chaman-e-tāza banāyā jaa.e
sheva-e-zabt kā ai dost taqāzā hai yahī
dil kā har raaz ḳhud un se bhī chhupāyā jaa.e
un kī mahfil meñ agar rasm-e-zabāñ-bandī hai
qissa-e-shauq nigāhoñ se sunāyā jaa.e
sāya-e-barq meñ ai josh-e-mazāq-e-ta.amīr
āshiyāñ roz gulistāñ meñ banāyā jaa.e
hone paa.e na kahīñ zindagī be-kaif 'nazīr'
ek hangāma-e-ḳhāmosh machāyā jaa.e
KHud-ba-KHud dida-o-dil mein jo samaya jae
hae us shaKHs ko kis tarah bhulaya jae
ek ek zarre ko aaina banaya jae
jalwa-e-husn-e-nazar un ko dikhaya jae
baat jab hai ki na guzre dil-e-nazuk pe giran
shauq se haal-e-shab-e-hijr sunaya jae
mah-o-anjum hain kahin aur kahin lala-o-gul
daman-e-shauq ko kis kis se bachaya jae
kaisi pabandi-e-zindan ki hai fitrat aazad
KHun-e-dil se chaman-e-taza banaya jae
shewa-e-zabt ka ai dost taqaza hai yahi
dil ka har raaz KHud un se bhi chhupaya jae
un ki mahfil mein agar rasm-e-zaban-bandi hai
qissa-e-shauq nigahon se sunaya jae
saya-e-barq mein ai josh-e-mazaq-e-tamir
aashiyan roz gulistan mein banaya jae
hone pae na kahin zindagi be-kaif 'nazir'
ek hangama-e-KHamosh machaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.