KHud bhi raushan hui har samt ujale kar ke
ḳhud bhī raushan huī har samt ujāle kar ke
dil ko be-nām se rishta ke havāle kar ke
talḳh rishtoñ ne ujāḌā thā bharā ghar tab se
makḌiyāñ chain se rahne lagīñ jaale kar ke
'soniyā' aks kī sūrat meñ hī rahnā hai kyā
asl sūrat meñ raho kaam nirāle kar ke
KHud bhi raushan hui har samt ujale kar ke
dil ko be-nam se rishta ke hawale kar ke
talKH rishton ne ujaDa tha bhara ghar tab se
makDiyan chain se rahne lagin jale kar ke
'soniya' aks ki surat mein hi rahna hai kya
asl surat mein raho kaam nirale kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.