KHud bhi sayyaad imtihan mein hai
ḳhud bhī sayyād imtihān meñ hai
ek hī tiir ab kamān meñ hai
dhuup ab aa ga.ī muñDeroñ par
sub.h kā shor mere kaan meñ hai
din mirā Dhal gayā to ġham kaisā
dhuup ab bhī bahut sī lawn meñ hai
us ko mujh par yaqīñ nahīñ hotā
jaane vo kaun se gumān meñ hai
āsmāñ kī taraf hai us kī nazar
jo bhī ab umr kī Dhalān meñ haiñ
jo makīñ thā kabhī mire dil kā
āj-kal ġhair ke makān meñ hai
KHud bhi sayyaad imtihan mein hai
ek hi tir ab kaman mein hai
dhup ab aa gai munDeron par
subh ka shor mere kan mein hai
din mera Dhal gaya to gham kaisa
dhup ab bhi bahut si lawn mein hai
us ko mujh par yaqin nahin hota
jaane wo kaun se guman mein hai
aasman ki taraf hai us ki nazar
jo bhi ab umr ki Dhalan mein hain
jo makin tha kabhi mere dil ka
aaj-kal ghair ke makan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.