KHud-faramoshi mein KHayal kahan
ḳhud-farāmoshī meñ ḳhayāl kahāñ
maiñ kahāñ hasrat-e-jamāl kahāñ
na vo aañsū haiñ aur na vo aaheñ
ab vo aglā sā apnā haal kahāñ
dil-e-vahshī ne sar uThāyā hai
dūr-andeshī-e-ma.āl kahāñ
ġham-e-duniyā meñ sar hai sargardāñ
ab vo nairañgī-e-ḳhayāl kahāñ
ahd-e-rafta ko bhūlnā achchhā
vo zamāna vo māh-o-sāl kahāñ
ho shikāyat kisī se nā-mumkin
ye jasārat kahāñ majāl kahāñ
kis tarah dāstān-e-ġham kahe
koī pursān-e-arz-e-hāl kahāñ
KHud-faramoshi mein KHayal kahan
main kahan hasrat-e-jamal kahan
na wo aansu hain aur na wo aahen
ab wo agla sa apna haal kahan
dil-e-wahshi ne sar uThaya hai
dur-andeshi-e-maal kahan
gham-e-duniya mein sar hai sargardan
ab wo nairangi-e-KHayal kahan
ahd-e-rafta ko bhulna achchha
wo zamana wo mah-o-sal kahan
ho shikayat kisi se na-mumkin
ye jasarat kahan majal kahan
kis tarah dastan-e-gham kahe
koi pursan-e-arz-e-haal kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.