KHud-farebi ne be-shak sahaara diya aur tabiat ba-zahir bahalti rahi
KHud-farebi ne be-shak sahaara diya aur tabiat ba-zahir bahalti rahi
Nazeer Siddiqui
MORE BYNazeer Siddiqui
ḳhud-farebī ne be-shak sahārā diyā aur tabī.at ba-zāhir bahaltī rahī
ek kāñTā sā dil meñ khaTaktā rahā ek hasrat sī dil ko masaltī rahī
apne ġham ko hamesha bhulāyā kiye kasrat-e-kār meñ sair-e-bāzār meñ
al-ġharaz kasmapursī ke aalam meñ bhī zinda rahne kī sūrat nikaltī rahī
aql kī bartarī dil ne maanī to kyā us ne chāhā kabhī aql kā mashvara
dil ko jis tarah chalnā thā chaltā rahā aql har gaam par haath maltī rahī
bazm-e-hastī meñ aane ko aa.e sabhī ahl-e-dil ahl-e-dīñ shā.ir-o-falsafī
aadmī ko jo karnā thā kartā rahā aur duniyā ba-dastūr chaltī rahī
is kī sūrat jo chāho badal jā.egī jaise sāñche meñ Dhāloge Dhal jā.egī
koī sāñcha yahāñ harf-e-āḳhir nahīñ zindagī to hamesha badaltī rahī
aadmī saath rahne pe majbūr hai phir bhī ik dūsre se bahut duur hai
dushmanoñ se to hotī bhalā sulh kyā jabki ḳhud dostoñ se bhī chaltī rahī
KHud-farebi ne be-shak sahaara diya aur tabiat ba-zahir bahalti rahi
ek kanTa sa dil mein khaTakta raha ek hasrat si dil ko masalti rahi
apne gham ko hamesha bhulaya kiye kasrat-e-kar mein sair-e-bazar mein
al-gharaz kasmapursi ke aalam mein bhi zinda rahne ki surat nikalti rahi
aql ki bartari dil ne mani to kya us ne chaha kabhi aql ka mashwara
dil ko jis tarah chalna tha chalta raha aql har gam par hath malti rahi
bazm-e-hasti mein aane ko aae sabhi ahl-e-dil ahl-e-din shair-o-falsafi
aadmi ko jo karna tha karta raha aur duniya ba-dastur chalti rahi
is ki surat jo chaho badal jaegi jaise sanche mein Dhaaloge Dhal jaegi
koi sancha yahan harf-e-aKHir nahin zindagi to hamesha badalti rahi
aadmi sath rahne pe majbur hai phir bhi ek dusre se bahut dur hai
dushmanon se to hoti bhala sulh kya jabki KHud doston se bhi chalti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.