KHud farishte to nahin hain jo mujhe le ja rahe hain
ḳhud farishte to nahīñ haiñ jo mujhe le jā rahe haiñ
bande mujh ko kyuuñ ḳhudā ke sāmne le jā rahe haiñ
dil jigar shāhoñ ke aage kis liye le jā rahe haiñ
rut qasīdoñ kī hai aur ham marsiye le jā rahe haiñ
ham bhī do ik sher le chalte haiñ tere chashm o lab se
phuul bhī ḳhushbū tujhī se maañg ke le jā rahe haiñ
kandhā dete chal rahe haiñ rāste vāloñ ko bhī ham
apnī mayyat ko bhī ham kis shaan se le jā rahe haiñ
aaj pahlī baar tauba kā irāda ho rahā hai
shaiḳh-sāhib aaj ham ko mai-kade le jā rahe haiñ
KHud farishte to nahin hain jo mujhe le ja rahe hain
bande mujh ko kyun KHuda ke samne le ja rahe hain
dil jigar shahon ke aage kis liye le ja rahe hain
rut qasidon ki hai aur hum marsiye le ja rahe hain
hum bhi do ek sher le chalte hain tere chashm o lab se
phul bhi KHushbu tujhi se mang ke le ja rahe hain
kandha dete chal rahe hain raste walon ko bhi hum
apni mayyat ko bhi hum kis shan se le ja rahe hain
aaj pahli bar tauba ka irada ho raha hai
shaiKH-sahib aaj hum ko mai-kade le ja rahe hain
- Book : Allah Hu (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.