KHud hi be-asra bhi karte hain
ḳhud hī be-āsrā bhī karte haiñ
haath uThā kar du'ā bhī karte haiñ
raat bhar peḌ chup bhī rahte haiñ
dil meñ mahshar bapā bhī karte haiñ
chhīn lete nahīñ basārat hī
vo to be-dast-o-pā bhī karte haiñ
koī pahchān ho nahīñ paatī
parde kyā kyā uThā bhī karte haiñ
aate hī sar qalam nahīñ karte
pahle ḳhud āshnā bhī karte haiñ
vaar karte nahīñ vo chhup kar hī
kisht o ḳhuuñ barmalā bhī karte haiñ
KHud hi be-asra bhi karte hain
hath uTha kar du'a bhi karte hain
raat bhar peD chup bhi rahte hain
dil mein mahshar bapa bhi karte hain
chhin lete nahin basarat hi
wo to be-dast-o-pa bhi karte hain
koi pahchan ho nahin pati
parde kya kya uTha bhi karte hain
aate hi sar qalam nahin karte
pahle KHud aashna bhi karte hain
war karte nahin wo chhup kar hi
kisht o KHun barmala bhi karte hain
- Book : khvaab ravaan (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.