KHud hi ko aaj KHud se milane mein rah gaya
ḳhud hī ko aaj ḳhud se milāne meñ rah gayā
maiñ un ke naaz naḳhre uThāne meñ rah gayā
vo bhī to ik savāb thā kartā maiñ aur kyā
pyāsoñ ko maiñ sharāb pilāne meñ rah gayā
ā.īna us ne toḌ diyā mere sāmne
maiñ dil ko apne shīsha banāne meñ rah gayā
kartā rahā fuzūl hī bāteñ ghumāv-dār
maiñ puurā qissa us ko sunāne meñ rah gayā
thī itnī tez āñdhiyāñ bastī meñ aaj bhī
maiñ aaj phir charāġh jalāne meñ rah gayā
tū ne to 'tanhā' aaj bhī sochā nahīñ hai kuchh
un ke liye hī ashk bahāne meñ rah gayā
KHud hi ko aaj KHud se milane mein rah gaya
main un ke naz naKHre uThane mein rah gaya
wo bhi to ek sawab tha karta main aur kya
pyason ko main sharab pilane mein rah gaya
aaina us ne toD diya mere samne
main dil ko apne shisha banane mein rah gaya
karta raha fuzul hi baaten ghumaw-dar
main pura qissa us ko sunane mein rah gaya
thi itni tez aandhiyan basti mein aaj bhi
main aaj phir charagh jalane mein rah gaya
tu ne to 'tanha' aaj bhi socha nahin hai kuchh
un ke liye hi ashk bahane mein rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.