KHud hi par zulm Dhaya ja raha hai
ḳhud hī par zulm Dhāyā jā rahā hai
zamāne se nibhāyā jā rahā hai
hamārī āñkhoñ se bīnā.ī le kar
hameñ manzar dikhāyā jā rahā hai
ma.ānī ḳhaak hote jā rahe haiñ
ḳhayāl itnā pakāyā jā rahā hai
sar-e-mimbar ikaTThā haiñ qalandar
faqīrī ko bhunāyā jā rahā hai
vahāñ se bhī uThāyā thā hameñ ab
yahāñ se bhī uThāyā jā rahā hai
yahāñ pe sher kahnā yuuñ hai jaise
diyā din meñ jalāyā jā rahā hai
KHud hi par zulm Dhaya ja raha hai
zamane se nibhaya ja raha hai
hamari aankhon se binai le kar
hamein manzar dikhaya ja raha hai
maani KHak hote ja rahe hain
KHayal itna pakaya ja raha hai
sar-e-mimbar ikaTTha hain qalandar
faqiri ko bhunaya ja raha hai
wahan se bhi uThaya tha hamein ab
yahan se bhi uThaya ja raha hai
yahan pe sher kahna yun hai jaise
diya din mein jalaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.