Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud hi pyase hain samundar to faqat nam ke hain

Sanju Shabdita

KHud hi pyase hain samundar to faqat nam ke hain

Sanju Shabdita

MORE BYSanju Shabdita

    ḳhud pyāse haiñ samundar to faqat naam ke haiñ

    bhuul jaao ki baḌe log kisī kaam ke haiñ

    dastakeñ ḳhaas usī vaqt meñ detā hai koī

    chaar chhe pal jo mirī umr meñ ārām ke haiñ

    koī kyā laag lagā.e ki bichhaḌnā hai abhī

    ham-safar aap ke ham ek do gaam ke haiñ

    āsmānoñ bulandī safar tai kar ke

    lauT aate haiñ parinde jo mire baam ke haiñ

    shā.erī chaa.e tirī yaad chamakte jugnū

    bas yahī chaar talab roz mirī shaam ke haiñ

    KHud hi pyase hain samundar to faqat nam ke hain

    bhul jao ki baDe log kisi kaam ke hain

    dastaken KHas usi waqt mein deta hai koi

    chaar chhe pal jo meri umr mein aaram ke hain

    koi kya lag lagae ki bichhaDna hai abhi

    ham-safar aap ke hum ek hi do gam ke hain

    aasmanon ki bulandi ka safar tai kar ke

    lauT aate hain parinde jo mere baam ke hain

    shaeri chae teri yaad chamakte jugnu

    bas yahi chaar talab roz meri sham ke hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now