KHud hi ruThe ho to phir is ka mudawa kyon ho
ḳhud hī rūThe ho to phir is kā mudāvā kyoñ ho
ham na kahte the ki haañ ranjish-e-bejā kyoñ ho
har bashar apnī pareshāñ-nazarī ke bā-vasf
ḳhud tamāshā hai to phir mahv-e-tamāshā kyoñ ho
dil ke bahlāne ko ummīd-e-karam rakhte haiñ
varna ye ham bhī samajhte haiñ ki aisā kyoñ ho
dasht jo merī tamannā na kare dasht nahīñ
ḳhaak jis meñ na uḌe merī vo sahrā kyoñ ho
ek lahza bhī jo pā.ūñ ġham-e-hastī se farāġh
ik nayā rañj pukāre hai ki tanhā kyoñ ho
KHud hi ruThe ho to phir is ka mudawa kyon ho
hum na kahte the ki han ranjish-e-beja kyon ho
har bashar apni pareshan-nazari ke ba-wasf
KHud tamasha hai to phir mahw-e-tamasha kyon ho
dil ke bahlane ko ummid-e-karam rakhte hain
warna ye hum bhi samajhte hain ki aisa kyon ho
dasht jo meri tamanna na kare dasht nahin
KHak jis mein na uDe meri wo sahra kyon ho
ek lahza bhi jo paun gham-e-hasti se faragh
ek naya ranj pukare hai ki tanha kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.