KHud hi taslim bhi karta hun KHataen apni
ḳhud hī taslīm bhī kartā huuñ ḳhatā.eñ apnī
aur tajvīz bhī kartā huuñ sazā.eñ apnī
koī dekhe to adā-kāriyāñ karnā us kā
band ā.īne meñ kartī hai adā.eñ apnī
maiñ suḳhan-var huuñ so ḳhāmosh nahīñ rah saktā
maiñ ne āñkhoñ meñ basā.ī haiñ sadā.eñ apnī
kyā zamāna thā ki ham ḳhuub jachā karte the
ab to māñge kī sī lagtī haiñ qabā.eñ apnī
maal hai paas na ham charb-zabāñ haiñ 'mohsin'
shahr meñ kis tarah phir saakh banā.eñ apnī
KHud hi taslim bhi karta hun KHataen apni
aur tajwiz bhi karta hun sazaen apni
koi dekhe to ada-kariyan karna us ka
band aaine mein karti hai adaen apni
main suKHan-war hun so KHamosh nahin rah sakta
main ne aankhon mein basai hain sadaen apni
kya zamana tha ki hum KHub jacha karte the
ab to mange ki si lagti hain qabaen apni
mal hai pas na hum charb-zaban hain 'mohsin'
shahr mein kis tarah phir sakh banaen apni
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 49)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.