KHud hi tufan mein nafrat ke ye bah jaenge
ḳhud hī tūfān meñ nafrat ke ye bah jā.eñge
phuul marqad ke mahallāt meñ kumhlā.eñge
baat dastār pe aa kar nahīñ rukne vaalī
haath dushman ke garebān talak ā.eñge
ab ke ye fiil laḌā.enge hameñ aapas meñ
ab suno koī abābīl nahīñ ā.eñge
be-zamīrī se to hai ḳhufta-zamīrī behtar
aa.ine lamhe guzarte hue dikhlā.eñge
ab ke 'safdar' mujhe lagtā hai ye muslim hākim
ummat-e-sayyad-e-laulāk ko dafnā.eñge
KHud hi tufan mein nafrat ke ye bah jaenge
phul marqad ke mahallat mein kumhlaenge
baat dastar pe aa kar nahin rukne wali
hath dushman ke gareban talak aaenge
ab ke ye fil laDaenge hamein aapas mein
ab suno koi ababil nahin aaenge
be-zamiri se to hai KHufta-zamiri behtar
aaine lamhe guzarte hue dikhlaenge
ab ke 'safdar' mujhe lagta hai ye muslim hakim
ummat-e-sayyad-e-laulak ko dafnaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.