KHud hi ye dard-e-sar qubul kiya
ḳhud hī ye dard-e-sar qubūl kiyā
har azāb-e-safar qubūl kiyā
kaun hai jis kī khoj meñ ham ne
ghūmnā dar-ba-dar qubūl kiyā
na to maiñ hī kahūñ na dil merā
kis ne kis kā asar qubūl kiyā
ghūmnā kūcha-e-malāmat meñ
ham ne kyā soch kar qubūl kiyā
ham ne do din kī zindagī ke liye
kitnā lambā safar qubūl kiyā
ma.anī-e-zīst hī badal deñge
ham ne jiinā agar qubūl kiyā
diid kī chaah meñ in āñkhoñ ne
har fareb-e-nazar qubūl kiyā
is ibādat ke farz ko 'rāhat'
man nahīñ thā magar qubūl kiyā
KHud hi ye dard-e-sar qubul kiya
har azab-e-safar qubul kiya
kaun hai jis ki khoj mein hum ne
ghumna dar-ba-dar qubul kiya
na to main hi kahun na dil mera
kis ne kis ka asar qubul kiya
ghumna kucha-e-malamat mein
hum ne kya soch kar qubul kiya
hum ne do din ki zindagi ke liye
kitna lamba safar qubul kiya
mani-e-zist hi badal denge
hum ne jina agar qubul kiya
did ki chah mein in aankhon ne
har fareb-e-nazar qubul kiya
is ibaadat ke farz ko 'rahat'
man nahin tha magar qubul kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.