KHud ki hi qurbani hai
ḳhud kī hī qurbānī hai
mujh ko iid manānī hai
tauba tauba tauba haa.e
ishq baḌā man-mānī hai
raste raste kāñTe haiñ
kaise jaan bachānī hai
dariyā dariyā sūkhā-pan
sab kī āñkheñ paanī hai
tere ishq kī havā chale
apnī ḳhaak uḌānī hai
merī āñkheñ chamak uThī
vo chehra nūrānī hai
mere pīchhe ik laḌkī
rādhā sī dīvānī hai
KHud ki hi qurbani hai
mujh ko id manani hai
tauba tauba tauba hae
ishq baDa man-mani hai
raste raste kanTe hain
kaise jaan bachani hai
dariya dariya sukha-pan
sab ki aankhen pani hai
tere ishq ki hawa chale
apni KHak uDani hai
meri aankhen chamak uThi
wo chehra nurani hai
mere pichhe ek laDki
radha si diwani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.