KHud ki ruh jalai hai
ḳhud kī ruuh jalā.ī hai
phir ye qalam uThā.ī hai
ḳhālī terā dosh nahīñ
qismat bhī harjā.ī hai
shā.ir niklo pannoñ se
ghar meñ roTī Dhaa.ī hai
dillī saarī jhulas ga.ī
kis ne aag lagā.ī hai
jhūTā hañsnā ġhalat nahīñ
ye ġham kī turpāī hai
'dīpak' chhoḌo duniyā ab
rab ke ghar sunvā.ī hai
KHud ki ruh jalai hai
phir ye qalam uThai hai
KHali tera dosh nahin
qismat bhi harjai hai
shair niklo pannon se
ghar mein roTi Dhai hai
dilli sari jhulas gai
kis ne aag lagai hai
jhuTa hansna ghalat nahin
ye gham ki turpai hai
'dipak' chhoDo duniya ab
rab ke ghar sunwai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.